Zaruri Hai Kya?

Zaruri Hai Kya?

Sochta bohot hai tu,
Sochna zaruri hai Kya?
Kai rasme hai iss duniya ki,
Nibhana Zaruri hai Kya?

Ji Raha hai markar bhi,
Aise Jeena zaruri hai Kya?
Sath agar nibhana ho kisika,
Toh sath rehna zaruri hai Kya?

Chahte toh hum bohot kuch hai,
Sab hasil hojae, aisa zaruri hai Kya?
Raasto par kaisi yeh bheed hai,
Bheed mein shamil hona zaruri hai Kya?

Jiss pyaar k liye dard seh Raha hai tu,
Woh pyaar ko paana zaruri hai Kya?
Iss Zindagi mein umeede Kai hai,
Sochle, Marna itna bhi zaruri hai Kya?

– Suri