Kahani 5 Saalo Ki

Kahani 5 Saalo Ki

Aaj ka suraj kuch naya sa hai,
Aakho mein roshni aur chehra khila sa hai,
saalo phele shuru kiya tha jo safar,
Aaj uska anjaam mila sa hai. – ” Kahani 5 Saalo Ki “

Aaye the jab hum yaha,
Ajnabee the tab hum yaha,
waqt k rango mein hum aise dhale,
zindagi ko naya maksad de gaye hum yaha.

Aaine taab bhi dekha karte the,
Aaina aaj bhi dekhte hai,
Dekhte hai hum khudko badalte hue,
Unhi aakho mein nayi umeed dekhte hai.

kitna kuch tha jo na kaha,
kitna kuch tha jo sunn liya,
khush rakhne ki iss duniya mein,
humne humara hi maan rakh liya.

Kabhi bina manzil chal lijiye,
ek kadam hausle ka rakh lijiye,
daar lagna toh jayaj hai yaha,
apne dil ko yeh baat samjha lijiye.

Shuruaat dheemi hui toh kya hua,
Jeb choti hui toh kya hua,
Rutba koi jeb se nahi dekhta galib,
Vasl (Passion) ko paane mein waqt laga toh kya hua.

Raahe alag toh hogi,
woh baate fir na hogi,
dil chota na karna tum yaha,
woh yaade bass tumhari hogi.

– Suri