Woh Kamra

Woh Kamra

Deeware chaar hai iski,
Par umeedo ki khidki zarur hai,
Badalte inn mausamo mein,
Iss kamre ki kahani badi mashor hai.

Bade toh sabhi hote hai yaha,
Magar badhapan sabhi mein nahi hota,
bin kuch maange bass sath nibhana,
Aisa mijaaz sabhi ka nahi hota.

Kehne ko toh ek kamra hi sahi,
Iski deewaro par yaado ka pitara hai,
Yaade zara dhundli hi sahi,
Par Inhi ka toh zindagi mein sahara hai.

Chalo ab hassi ki baat ki jae,
Dosto k sath bitayi lamho ki baat ki jae,
Garam chai ho ya ho khushiyo k do jaam,
Nashe mein hi sahi,
par aaj firse uss kamre ki baat ki jae.

– Suri