Rail – Yaado ka Safar
Bachpan se judi kai rangeen yaade hai,
unn mein se ek hai rail ka safar,
har ek ki apni kahani hai,
har ek ka apna safar – “Rail – yaado ka safar”
Khidki se chipke baithe hai,
nigahe bahar tiki.
kis umeed mein na jaane baithe hai,
kaab lautegi yeh khushi.
Mausam suhana tha bahar,
barsaat ka sath bhi tha bahar,
na jaane kis khushi se num hui yeh aakhe,
boondo sang aasu bhi aagae bahar.
Sach hi kaha hai kisine,
waqt badalte der nai lagti,
dekh ek choti si muskaan,
laut aagai woh purani hasi.
Na jaane kitne mausam guzre,
kitno ka sath mila hai iss safar mein,
yuh toh waqt nahi hai insaano k liye,
par yaado se milne ka waqt mila hai iss safar mein.
Arsa hogya safar kiye,
bahano ka kila(mehal) tayar hai,
sach kahu toh daar lagta hai kehne mein,
bahano k peeche yaado ka dariya jo tayar hai.
– Suri