Khoj Apni
” kisi din soche toh pata chala,
kahi kho se gaye hai hum,
ek safar par niklo aap bhi kabhi, khudko dhundhne ki chaah liye – Khoj Apni.”
Ek roz baithe aur socha,
kya kare ja rahe hai hum yaha,
dhundhane nikle the khud ko,
khud ko hi bhule ja rahe hai hum yaha.
Kyu itni mayusi hai yaha,
khushiya kahi mehengi toh nahi,
kisi din baazar mein niklo toh samjhe,
ghar chod aai cheez ko dhundhne nikle hai yaha.
Ghar pohoche toh aaina dekha,
aaine mein aaj koi anjaan sa dekha,
kya galat kiye ja raha tha in saalo se mein,
Shayad khudko pheli baar uss aaine mein dekha.
Dhire hi sahi par aakhe toh khuli,
gamo se ghire jaha mein ek roshni toh mili,
ab chala hu na rukne k liye mein,
zindagi jeene ki ek wajah toh mili.
fikar k do pehaloo hai,
ek jisne kaiyo ko dubaya hai,
toh dusra jisne kaiyo ko par lagaya,
hum pehaloo k kisi bhi taraf kyu na ho,
yaad rakhna fikar bass ek pehaloo hai, Pal nahi.
-Suri