Kahani Jo Na Bhuli

Kahani Jo Na Bhuli

“Kisi din ghumne niklo toh duniya nazar-andaaz na karna, diye mein khush rehkar zyada ki fariyaad na karna – Kahani Jo Na Bhuli.”

koshish puri karta hu,
har din ek mannat karta hu,
sochta nahi mein iss duniya ki behrehmi,
bass apne aap se hi shikayat karta hu.

bass mein na tha mere kuch,
bass mein na hai mere kuch,
palke zara si kya zhakpi humne,
humse ruth gaya humara sab kuch.

aasan nahi hai aise jeena,
din dhalte hi umeedo ka khona,
kisi din khali hath ghar jao toh samjhoge humara dard,
kitna mushkil hai aise saas lena.

garibi ek purana khilona hai,
har zubaan se nikla wahi bahana hai.
dekhte toh hai kai log isse,
par logo ka kaam toh bhul jaana hai.

umeedo ki paribhasha koi humse sikhe,
kuch na hokar bhi khush rehna koi humse sikhe,
na jaane kyu udaas hai log chaaro aur,
zindagi ko ek mauka dena koi humse sikhe.
-Suri