Aksar

Aksar

Andhero ki zabaan
Meine samjhi hai aksar,
Ujale mein khudko,
Meine Gumrah paya hai.

Akelepan ka sath,
Meine nibhaya hai aksar,
Logo k beech khudko,
Meine tanaha paya hai.

– Suri